Welcome All In My Website Tallyclass.com & Yaha se Hamare Tally Course ka 1st Cahpter Shuru Hota hai. What is Tally ERP9
Chapter 1 : What is Tally ERP9
Ham Jis Course Ko Sikhne Ja Rahe Hai Hame Uske Bare me pata bhi hona chahiye ki Tally ERP9 Hamare Kya Kaam Aayega.
Bahut Hi Basic Sa Question Hai aur Bahut Hi Basic Sa Answer Bhi Hai aur bahut hi Basic Iski Definition hai.
Definition Of Tally ERP9
Tally ERP9 Ek Accounting Software Hai.
Ab Yaha 2 Words ko hame Thoda Sa Samajhne Ki Jarurat hai Sabse Pehla Accounting & Dusra Software
Sabse Pehle Software Kya Hota hai Ye Samajh Lete Hai.
What Is Software
Iska Bhi Bahut Short Answer Hai ki Software Computer Ka Ek Aisa Program Hota Hai Jisko Jis Kaam Ke Liye Banaya Gaya Hai Wo Us Kaam Ko Kam Se Kam Samay Me Aur Bina Galti Ke Kar Sake
For Example:
Agar Aapko Kisi Bhi tarah Ki calculation karni hai Jaise 25 ko 75 Se multiple Karna Hai.
Agar Aap Khud Manually Karoge To Thoda Sa Time Bhi Loge Aur Galti Ki Gunzaish Bhi Rahegi.
aur Agar Yahi Calculation Aap Agar computer me Calculator software Ki madad Se karte ho to 1 second se bhi kam time me aapko perfect answer mil jayega. Ise Hi Software kehte hai.
What is Accounting
Tally ERP9 Software ko Accounting Ke liye Banaya Gaya Hai Taki Manual Accounting me hone wali galtiyo ko sudhara ja sake aur kam se kam Samay Me Reports Taiyyar Ki ja Sake.
Ab Yaha Par Hame Accounting Kya Hoti Hai Isko Bhi thoda sa Samajhne ki Jarurat Hai To Iske Liye Aap Next Chapter : 2 What Is Accounting isko Dekhe Aapko Ache Se Samajh me Aa Jayega.
Features of Tally ERP9
- Is software ko Kai Multi Language me Operate Kiya Ja Sakta hai. Kyunki Tally ERP9 ek Popular Accounting Software hai. Accounting ke Liye Kai Contries me Tally ka Use Kiya Jata hai aur is Software ki Bahut Demand hai.
- Isme Ek Sath 1,2 Ya 3 Nahi Balki Ek Sath 99999 Companies ka Account Maintain Kiya Ja Sakta hai.
- Ye Software Accounting ke Kaam ko Bahut hi Jyada Aasan Kar Deta hai. Isme Kai Aise Features hote hai jin se ham Kisi Bhi Company ki Kisi Bhi Tarah ki Reporting Dekh Sakte hai aur Account maintain Kar Sakte hai.
Advantage of Tally ERP9
- Isme Accounting ka kaam kiya Jata hai aur Tally Software accounting ke Kaam Ko Kaafi Had Tak Aasan kar Deta hai
- Isme Reporting Automatic Taiyyar ho Jati hai Jaise jaise ham tally me Kaam karte jate hai. Tally me Automatic Data Taiyyar ho jata hai.
- Is Software ki Size Bahut Kam hai Jis se ye hamari hard disk me Jyada Space Use Nahi Karta aur Sath hi Sath Tally Operate karne me bahut hi Smooth hai.